Monday, 28 November 2011

Collection of my favourite hindi shayaris

Ehsaas k andaz badal jate hain warna,
Aanchal bhi usee tar say banta hay kafan bhi.

————————–

Sirf es waste es boot say akeedat hay mujhay,
tarashay janey main bohat dard saha hay es nay.

————————–

(Ghalib)
Bazecha-e atfal hay dunya mere aagay,
Hota hay shabo roz tamasha mere aagay.

————————–

(Parveen Shakir)
Es bar jo eendhan k leye kat k gira hay,
Chiryoo ko bara piyar tha es booe shajar say

—————————

Baz Gasht (by Mohsin Naqvi)
Sukoot-e sham-e ghareeba main sun sako to suno,
K maqtaloo say abhi tak sadaeen aati hain,
Lahoo say jen ko munawar kare damaghe bashar,
Hawaaen esay charagho say khouf khati hain.

—————————-

Azmat-e Adam (by Mohsin Naqvi)
Ishq,,,, Mazil k rukh ka ghaza hay,
Akl,,,,, Rastay ko saaf karti hay,
Zindagi par jo log cha jain,
Mout un ka tawab karti hay.

No comments:

Post a Comment