Showing posts with label Hindi Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Hindi Ghazals. Show all posts

Monday, 28 November 2011

My Favourite Hindi Ghazalz

Mera kya tha tere hisaab mein,mera saans saans udhar tha
Jo guzar gaya wo to waqt tha,jo bacha raha wo ghubbar tha
Teri aarzoo mein ure ti the,chund khushk patte channar ke
Jo hawa ke dosh se gir para,un mein aik yeh khaksar
Wo udas udas ik shaam thi,ik chehra tha ik charagh tha
Aur kuch nahi tha zammen per,ik aasman ka ghubaar tha
Bare sufion se khayal the,aur biyan bhi us ka kamal tha
Kaha meine kab ke wali tha wo,ik shakhs tha badda khar tha.

Sehma sehma darra sa rehta hai
Jane kyun ji bhara sa rehte hai
Kaai si jum gai hai aankhon per
Sara manzar harra sa rehta hai
ek pal dekh loon tu uthta hoon
Jal gaya sab zara sa rehta hai
Ishq mein aur kuch nahi hota
Aadmi bawra sa rehta hai

Naam soch hi na tha hai ke nahi
Amman keh ke bulaya aik ne
Ae jee keh ke bulaya dooje ne
Abe o yaar log kehte hain
Jo bhi jis ke jee aaiya
Us ne waise hi bus pukaar liya
Tum ne ik mod per acanak jab
Mujhe ko “GULZAR” keh ke di awaz
Ek seepi se khul gaya motie
Mujh ko muaani mil gaya jaise.

Chaliye kuch lines aap joriye es poetry mei…….

ho kar begaane bhee kyon apne se lagte ho
ho itni duir phir bhee kyon kareeb lagte ho

chhor denge teri yaadon ko kahin duir
ris ris kar roj yuin tadpaate kyon ho

dil kei jharokhon mei ik tasveer hai teri
dhoondhli he sahi phir bhee aankho mei baste kyon ho

koi chhere jo jikar tera to honth farfarate hain
aah nikle na kahin bas aansoo ban dhalte kyon ho

mudatt se nahi hui koi baat to kaya
sapno mei aksar baatein karte kyon ho

Pehlay gairon mein bhii apnon kaa bharam hota thaa…

Pehlay gairon mein bhii apnon kaa bharam hota thaa,

Ab tou apnay hai kay apnay nahi lagtay yaaro,
Pehlay gairon mein bhii apnon kaa bharam hota thaa,
Abb tou yaaron say bhii milnay kee koi aas nahin,
Pehlay tou dushman say bhii milnay kaa dharam hota thaa,

shayari compiled by,
jass_cancerian

Kisko maaluum kahaan kay hain kidhar kay ham hain…

Kisko maaluum kahaan kay hain kidhar kay ham hain,

Apnii marzii say kahaan apne safar kay ham hain,
Rukh havaaon kaa jidhar kaa hai udhar kay ham hain,
Pehle har chiiz thii apnii magar ab lagtaa hai,
Apne hii ghar mein kisii duusre ghar kay ham hain,
Waqt kay saath hai mittii kaa safar sadiyon tak,
Kisko maaluum kahaan kay hain kidhar kay ham hain,
Chalte rehte hain kay chalanaa hai musaafir kaa nasiib,
Sochte rehte hain kay kis raahaguzar kay ham hain,

December Mujhay Raas Aata Nahi!

Kayii Saal Guzrey
Kayii Saal Beetey
Shab-o-Roz Ki Gardishon Ka Tasalsul
Dil-o-Jaan Mein Saanson Ki Partein Ultatey Hue
Zalzalon Ki Tarah Haanpta Hay!
Cheekhtey Hue Khuwab
Aankhon Ki Nazuk Ragein Cheeltey Hain
Magar Main Har Ik Saal Ki Goud Mein
Jagti Subah Ko
Bey Karaan Chahton Se Atti Zindagi Ki Dua Dey Kar
Ab Tak Vohi Justaju Kar Raha Hoon
Safar Zindagi Hay
Safar Aagahi Hay
Safar Aabla Payii Ki Dastan Hay
Safar,Umer Bhar Ki Sulagti Hui Khuwahishon Ka Dhuwan Hay
Kayii Saal Guzrey
Kayii Saal Beetey
Musalsal Safar k Kham-o-Paich Mein
Saans Leti Hui Zindagi Thak Gayii Hay
k Jazbon Ki Geeli Zameenoo Mein
Boye Hue Roz-o-Shab Ki Har Ik Fasal Ab Pakk Gayii Hay
Guzarta Hua Saal b Aakhrii Hichkiyaan Ley Raha Hay
Mery Paish-o-Pass
Khauf, Dehshat, Ajal,Barood Ki Mouj
Aabadian Noch Kar Apney Jabrron Mein Jhakrri Hui Zindagi Ko
Darindoo Ki Surat
Nigalney Ki Mashqon Mein Masroof Tar Hain
Har Ik Rasta, Maut Ki Rahguzar Hay
Guzarta Hua Saal Jaisy b Guzra
Magar Saal k Aakhri Din
Nihayet Kathin Hain
Har Ik Simt Laashon k Anbaar
Zakhmi Janazon Ki Lambii Qitarein
Kahan Tak Koi Dekh Paye?
Hawaon Mein Barood Ki Baas
Khud Aman Ki Noha Khuwan Hay
Koi Chara Gar, Asr-e-Hazir Ka Koi Maseeha Kahan Hay?
Mery Milney Walon!
Naye Saal Ki Muskuratii Subah Gar Haath Aye
To Milna!!
k Jatay Hue Saal Ki Saaton Mein
Yeh Bujhta Hua Dil
Dharakta To Hay
Muskurata Nahi
December Mujhay Raas Aata Nahi…!!!