Monday, 28 November 2011

Shaam se aaj saans bhari hai…

Shaam se aaj saans bhari hai
Be qarari hai be qarari hai
Aap ke baad her ghari hum ne
Aap ke saath hi guzari hai
Raat ko de do chandani ki rida
Din ki chaadar abhi utari hai
Kal ka her waqia tumhara tha
Aaj ki dastan hamari hai.

No comments:

Post a Comment